zindagi
pholon ne
kaha
khushbuon ka
nam hai zindagi
badlon ne
kaha
baras ker
tham jany ke name hai zindagi
hawa ne kaha
thandak ka
nam hai zindagi
farishton ne
kaha
ALLAH ke
tasbi ka nam hai zindagi
student ne
kaha
mushkel
intehan ka nam hai zindagi
haiwano ne
kaha
zuban band
rekhny ka nam hai zindagi
insan ne
kaha
zik dosry ke
dukh dard mai shareek hony ka nam hai zindagi
No comments:
Post a Comment